Quran or Hadis ke tawatur me farak
Quran or Hadis ke tawatur me farak 📖 Quran ki hifazat ki zimme daari khud ALLAH ne li hai. Aur iske bare me allah ne kaha ke agar yeh allah ki taraf se na hota toh isme kasrat se tazaad milta. Aur challenge diya allah ne ke agar shak karte ho toh iske jaisi ek ayat hi bana lao. Aur jo yeh samajta hai ke isme shakk hai woh ek ayat is jaisi bana ke dikha de yeh challenge allah ne diya hai Qayamat tak ke liye. 📗 Hadiso ke andar kasrat se tazaad maujood hai, koi ek aisa masla nhi hai jisme jhuti baaten na maujood ho, aur koi masla aisa nhi jisme ikhtilaf na mile, aur hadis jiska dill chaha jab chaha Apne Ghar me baith ke nabi saw ki taraf jhut mansub kar diya yaha tak ke hazaro hadiso par mushtamil kitaben gadh li gyi , khud imam Bukhari 1 lakh hadis me se sirf 6 hazar ke aas pass apni kitab me leke aye aur usme bhi ek hi hadis kai bar repeat kiya agar woh bhi count kiya jaye toh shayad 2 3 hazar hadis hoga , yaani ke bas 2 to 3 % . Aur isme se bhi quran ki roshni me dekhege toh yeh perc...